Shilajit Ke Fayde — Mukammal Guide
Shilajit sadiyon se Himalaya aur Karakoram ke pahari ilaqon mein istemal hota aa raha hai. Yahan hum rawayati istemal aur aam maloomat ki roshni mein is ke mashhoor fayde bayan kar rahe hain.
1. Tawanai (Energy)
Rawayati tor par Shilajit ko thakan door karne aur jismani tawanai barhane ke liye istemal kiya jata hai. Is mein fulvic acid aur 85 se zyada trace minerals paye jate hain.
2. Zehni Tawajjuh (Mental Clarity)
Buzurgon ke mutabiq Shilajit zehni thakan kam karne aur tawajjuh behtar banane mein madadgar samjha jata hai.
3. Quwwat aur Stamina
Ayurveda mein Shilajit ko mardana quwwat aur jismani stamina ke liye qadeem nuskha mana jata hai.
4. Jorron Ka Dard (Joint Health)
Is ke qudrati anti-inflammatory khawas ki wajah se jorron ke dard mein aaram ke liye bhi istemal hota hai.
5. Qudrati Antioxidants
Shilajit mein antioxidants paye jate hain jo jism ko oxidative stress se bachane mein madad dete hain.
Istemal Ka Tariqa
Chane ke dane ke barabar miqdar (300–500mg) neem garam pani, doodh ya qehwe mein hal kar ke subah nehar munh piyen. Ubaltay pani mein na dalen.
Ehtiyat
Bachon aur hamila khawateen ke liye munasib nahin. Koi bhi medical condition ho to istemal se pehle apne doctor se mashwara zaroor karen. Hamesha lab-tested aur khalis Shilajit hi khareeden — naqli maal sehat ke liye nuqsandeh ho sakta hai.